Ahmed Faraz Sad Poetry Biography
Source (google.com.pk)gham-e-heyat ka jhagra mita raha hai koi
chale aao keh dunya se jaraha hai koi
azal se kah do keh ruk jaye do ghari
suna hai aane ka waada nibha raha hai koi
woh iss naaz se baithe hain lash ke pas
jaise roothe hoye ko mana raha hai koi
palat kar na aajaye phir sans nabzon mein
atne haseen hathon se maiyat saja raha hai koi
****************************
Woh jo aaye the aankhon mein Sitaray lay kar
Janay kis desh gaye Khab hamaray lay kar
Chaon mein baithnay walay hi to sab say pehlay
Per girta hai to aajatay hain Aaray lay kar
Woh jo aasoodah Sahil hain inhein kia maaloom
Ab kay moj aayi to paltay gi Kinaray lay kar
Aisa lagta hai keh har mosam e hijran mein bahar
Hont rakh deti hai Shakhon peh tumharay lay kar
Shehar walon ko kahan yaad hai woh khab farosh
Phirta rehta tha jo Galyon mein ghubar lay kar
Naqd e jan sirf hua kulfat e hasti mein Faraz
Ab jo zinda hain to kuch Sans udharay lay kar
****************************
Mein mar mita to woh samjhay yeh inteha thi meri
Isay khabar hi na thi, khak e kimya thi meri
Mein chup hua to woh samjha keh baat khatam huyi
Phir is kay baad to aawaz ja-baja thi meri
Jo taana zan tha meri poshish e daridah par
Isi kay dosh peh rakhi huyi qaba thi meri
Mein is ko yaad karon bhi to yaad aata nahi
Mein is ko bhool gia hon, yahi saza thi meri
Shikast day gia apna gharoor hi is ko
Wgarna is kay moqabil basat kia thi meri
Kahin dimagh kahin Dil kahin badan hi badan
Har ik say dosti yari juda juda thi meri
Koi bhi khoye Muhabbat say phir nahi guzra
Tu shehar ishq mein kia aakhri sada thi meri?
Jo ab ghamand say sar ko uthaye phirta hai
Isi tarah ki tu makhlooq khak e pathi meri
Har aik sher na tha darkhor e qasidah dost
Aur is say taba e rawan khoob aashna thi meri
Mein us ko dekhta rehta tha hairaton say Faraz
Yeh zindagi say taaruf ki ibtada thi meri
****************************
No comments:
Post a Comment