Urdu Sad Poetry By Wasi Shah Biography
Source (google.com.pk)1. Sad Poetry of Wasi Shah
Muje Sandal Kar Do
Apne Ihsaas Se Cho Kar Muje Sandal Kar Do
Main Ke Sadiyon Se Adhora Hon Mukamal Kar Do
Na Tumhain Hosh Rahe Aur Na Muje Hosh Rahe
Is Qadar Toot Ke Chaho Muje Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango
Apne Hath Me Mere Naam Ka Kajal Kar Do
Dhop Hi Dhop Hoon Main Toot Ke Barso Muj Par
Me Tu Sehra Hon Muje Pyar Ka Badal Kar Do
Us Ke Saye Main Mere Khawab Mehak Uthain Gay
Mere Chehray Pe Umeedon Bhra Aanchal Kar Do
Apnay Honton Se Koi Mhr Lgao Muj Par
Ik Nazar Pyar Se Dekho Muje Ghayal Kar Do.
2. Sad Poetry of Wasi Shah
Pagal Larki
Pehle Mere Khat Ke Us Ne
Ik Anjane Khof Se Dar Kar
Tukre Tukre Kar Dale
Ab
Ik Haseen Ihsaas Ke Tab’a
Jis Ka Koi Naam Nahi Hai
Pichle Kitne Hi Ghanton Se
Darwaze Ki Aoot Main Chup Kar
Tukre Jor Rahi Hai …. Pagal.
3. Sad Poetry of Wasi Shah
December Mai Tumhain
Mai Kese Sard Hathon Se Tumhare Gal Chota Tha
December Mai Tumhain Meri Shirart Yaad Aye Gi.
4. Sad Poetry of Wasi Shah
December Aane Wala Hai
Ik Bar Tu Milne Aao December Aane Wala Hai
Kesa Guzra Hai Ye Sal Btao, December Aane Wala Hai
Khush Ho Jao K Milne Ka Sal Aa Raha Hai Phir
Wasi Yun Na Aansu Bahao December Aane Wala Hai
Shayad Ab K Baras Bi Wo Lot Kar Na Aye
Tanhion Abi Chor Kar Na Jao, December Aane Wala Hai
Ye Kya K Raat Din Us Ki Yaad Mai Doobe Rehna
Na Gham Ki Barish Mai Nahao, December Aane Wala Hai
Ae Mere Dukhon Ke Sathio Khush Ho Jao
Apne Apne Ghron Ko Sjao December Aane Wala Hai
Kia Pta Phir December Aye Na Aye Jan-e Wasi
Meri Mano Ab Tum Lot Ayo December Aane Wala Hai
Han December Ane Wala Hai.
No comments:
Post a Comment