Urdu Poetry Sad Biography
Source (google.com.pk)1.Taleem Bi Fitna
Allah Se Kare Dor Tu Taleem Bi Fitna
Imlak Bi Aulad Bi Jager Bi Fitna
Nahaq Ke Liye Uthe Tu Shamsher Bi Fitna
Shamsher Hi Kya Nara-e Taqbeer Bi Fitna
2.Aya Hai January
Btao Zara Konsi Bahar Le Ke Aya Hai January
Tum Tu Kehte Thay K Bahut Veran Hai December
3.Lamakani ka Sabab
Koi Tu Poche Lamakani Ka Sabab
Jheel Si Aankhon Main Pani K Sabab
Sitare Tot Kar Girte Hain Khan
Yehi Baat This Herani K Sabab
Beete Lamhon Ko Yaad Karte Hain Kabi
Kunkar Tha Us Ki Mehrbani Ka Sabab
Aks Aine Mai Kho Gya Kese
Uske Chehray Pe Tha Pershani Ka Sabab
Aur Wo Tasveer Thi Bichari Yadon Ki
Ghar K Aangan Ki Verani Ka Sabab
4.Fursat K Raat Din
Ji Dhondta Hai Phir Wohi Fursat K Raat Din
Bethe Rahe Taswar Jana Kiye Hoye
5.Sokhe Hoye Kuch Phol
Usay Kehna Kitabon Mai Rakhe Sokhe Hoye Kuch Phol
Us Ke Lot Aane Ka Yaqeen Ab Tak Dilate Hain
6.Dil-e-Wahshi
Kun Is Shokh Ki Nazron Ko Sambhala Jaye
Dil-e Wahshi Se Is Shakhs Ko Nikala Jaye
Ye Mumking Hai K Tere Zulm Pe Khamosh Rhon
Ya Tere Rang Mai Khud Ko Bi Dhala Jaye
Tuj Ko Malom Ho K Tanhai K Hqeqat Kia Hai
Raat Ki Wahshat Ko Tere Aangan Mai Uchala Jaye
Gham Ki Shidat Mai Bi Zakhmon Ko Smeta Mai Ne
Dard Ki Sorat Mai Phir Usi Rog Ko Pala Jaye
Mere Qatal Ko Adaon Main Bari Sabqat Hai
Bari Mushkil Hai K Us Bazm Se Nikala Jaye
7.Eshq k Dhagon main pro k Mujay
Ishq K Dhaon Mai Pro K Mujay
Hansane Ka Keh Gya Hai Wo Ro K Mujay
Be Chain Sorat Us Ki Aa Jati Hai
Aata Nahi Chain Ab So K Mujay
Aanson Ke Pani Se Kar Ke Wuzu
Dekhta Hai Wo Aankhain Bhigo K Muje
Ta’ane Tashne Be Kasi Be Kali Be Dili
Bohat Kuch Mila Tera Ho K Muje
Aanson Us Ke Main Ne Ponche Anjum
Behla Rha Tha Jab Wo Ro K Muje
very nice 70%
ReplyDelete