Sad Love Poetry In Urdu Biography
Source (google.com.pk)1.Short Sad
Main teri ankhon se nahi
In may doob janey se darti hoon
Main teri muhabat se nahi
Teri intaha se darti hoon
Main raat ki tareeqi se nahi
Is tareeqi main basi apni tanhaiee se darti hoon
Mujhe bohat chahat hai tujhe paney ki
Liken tere door janey se darti hoon
2.Tanhayi ka gham
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha
Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha
Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha
Aey kaaaaash koi jaa ke us saay poochey
Yahan kis ke sahare pe mujhe choor gaya tha
3.Woh kabhi nahi mile gi mujhe
“Har khushi hai logon ke daman mein,
Par ek hansi ke liye waqt nahi”
Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kiun Nehi Kam Hota Mera
Ansoon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhai Main Kyun Rota Rehta Hoon
Na Jeta Hoon Na Marta Hoon
Us Ki Yaadon Main Rota Rehta Hoon
Pata Hai Wo Kabhi Nehi Milay Gi Mujhe
Phir Bhi Us Ka Intazar Rehta Hain Mujhe
Usay Bhool Kar Kasi aur Ko Appna Banana Cahata Hoon
Per Koi Muj Jase Badnaseeb Ko Apnana Nahi Cahata Hai
Har Koi Kahta Hai Main Tere Saath Tere Har Muskil Main Saath Doon Ga
Waqt Anay Per Har Koi Mun Mor Kyun Leta Hai
Jab Mujhe Kisi Kay Saath Ki Zarrort Hoti Hai
To Mujhe Koi Saath Kyun Nahi Deta Hai
Ansoon Ki Barish Main Chor Kar Kyun Chala Jata Hai
Jis Per Yaqeen Karta Hoon Wohi Kyun Deta Hai Dhoka
Jise Appna Kahta Hoon Wo Mujhe Appna Kyun Nahi Samjhta Har Koi Ata Hain
Ek Naya Ghum Da Kar Kyun Chala Jata Hai Mujhe
Ansoon Kyun Nahi Ruktay Mere
Dard Kyun Nahi Kam Hota Mera
4.Kon hijar mein apna lahoo jalata hai
khuwaab saath rehne ke nit naye dekhata hai…
ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai…
khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein…
warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai…
to hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar janaan…
gard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai…
aik tum hi the warna aadmi muhabbat mein…
laakh aayein deewarein raastey banata hai…
hum to khair nadaan the muntazir rahe warna…
kaun apni beenayi is tarah ganwata hai…
kitne khuwaab aankhon mein zakham ban ne lagte hain…
jab hawa ke honton pe tera naam aata hai…
senkron dukaanein hain wisal ke charaghon mein…
kaun hijar mein apna ab lahoo jalata hai…
No comments:
Post a Comment