Sad Poetry Images Biography
Source (google.com.pk)1.Jab Se Tera Nam Liya Hai
Jab se tera nam liya hai
Aas ka Daman tham lia hai
Ik unmit si piyas hai shayad
Kiun Nazroon ka jam pia hai
i k Pathar ne mujh se pucha
Kiun khud ko Gumnam kia hai
Kar o bar nahin hai chahat!
Chahat ne paigham dia hai
Her derpan mein teri Surat
To ne acha Kam kia hai
2.Tere Daman ki Hawa Mangte Hain
Tere daman ki Hawa mangte hain
Hum bhi Jine ki dua mangte hain
Mutribo koi Achuta nagma
Saz ahang-o-Sada mangte hain
Mah-o-anjum k jharoke aksar
Kisi k ariz ki dua mangte hain
Phir patangon mein Khudai jagi
Shole hashr-numa mangte hain
Banda-parwar koi Khairat nahi
Hum wafaon ka Sila mangte hain
Maikada ho k kalisa Sagar
Sari duniya ka Bhala mangte hain
3.Kitni Bar Pukara Main
Kitni bar pukara main
Ik bujhta Angara main
Tun murat ik mitti ki
Aur pani ka Dhara main
Aag lagi to Raakh hoye
Bin basti Banjara main
Kaisi anokhi jung huii
Jita main aur Hara main
Us ki batain Pathar si
Aur shisha be Chara main
Pahle bhigi palkain meri
Bhig gia phir sara main
Aag bhara ik Darya tu
Thanda thar Kinara main
4.Teri Galyoon Main Aaye to Hum Kho Gaye
Teri galyoon main Aaye to hum kho gaye
Payoon baqi hain lekin Qadam kho gaye
Darde dil to buhat the magar charah gar
Tere chahre ko dekha to gum ho gaye
Tera dard-e judaii pe rang jafa
Meri aankhoon mein sare raqam ho gaye
To na Aaye to shab sirf etna hoya
Khawab palkoon pe aaye the nam ho gaye
Sochte hi tujhe hum ko Mahsoos hoya
Zindagani mein kaise Sitam ho gaye
Jo dete gawahi teri Chah ke
Shayed wo sitare Madhim ho gaye
No comments:
Post a Comment