Sad poetry In Urdu Biography
Source (google.com.pk)1.Mohabat ka assar main dekhoon
Tere Lehje mai Mohabat Ka Assar main Dekhoon
Aankhein Teri Hon Un Se Mgar Mai Dekhon
Khof Ata Hai K Ab Anjam-e Safar Kia Ho Ga
Har Ik Darya mai Be Reham Bhanwar Mai Dekhon
Phir Isi Shor Mai Jungle Ki Traf Chal Nikle
Ujre Mosam Mai Har Ik Zakhmi Shjar Mai Dekhon
Thak Kar Pohncha Hon Tere Dar Par Mgar Tu Na Mila
Rah Dushwar Pe Ik Aur Sfar Mai Dekhon
Mere Shairon Mai Jo Bebaki Se Nazar Aati Hai
Larzish Hai Qalam Mai Ik Khof Ka Ngar Mai Dekhon
Nam Likhte Hai Mitate Hai Bnate Hain Chehre
Waqt K Kenwas Pe Apni Unglion Ke Hunr Mai Dekhon
2.Naye Khawab Ajj Daay Daloo
Safr K Waste Kuch Asbab Aj Day Dalo
Bohat Se Duain Aur Naye Khawab Day Dalo
Mere Ghamon Ne Mere Chiraghon Ko Buja Rakha Hai
Rah Mai Roshni Ke Liye Kuch Mahtab Aaj De Dalo
Waqt Ki Aag Ne Jism Ko Jila Ke Khak Kia
Kafn Ke Waste Thora Sa Kamkhwab Aaj De Dalo
Muje Sanam Ke Huzor Jane Ke Waste Yaaro
Pe Ke Na Behkon Aesi Shrab De Dalo
Tumhare Ishq Mai Yun Khoya Ke Khuda Na Yaad Rha
Mere Sab Sajdo Ko Mimbar-o Mehrab De Dalo
3.Sham Churanay Niklay
Teri Khatir Ham Ik Shaam Churane Nikle
Dard Mai Dhal Ke Khud Ko Aazmane Nikle
Phir Inhi Tarsi Nazron Se Tmasha Dekha
Baat Itni Se Thi K Sab Zakhm Purane Nikle
Gham Ki Aaghosh Mai Khud Ko Smeta Aise
Raat Itni Hai Tu Phir Ham Sog Mnane Nikle
Wo Jo Nazron Mai Tlatam Tha Dekha Sab Ne
Raaz Jo Aankhon Se Ayan Thay Wo Chupane Nikle
4.Pholoon Ka Saya Karta
Bhar Mai Ajab Lutf Mai Uthaya Krta
Tere Chehre Par Pholon Ka Saya Karta
Sitare Khamosh Aur Chand Ki Zuban Na Khule
Mai Apne Khwab Un Sab Ko Sunaya Krta
Wo Jheel Jis K Kinare Beth Kar Aksar
Mai Teri Tasver Se Dil Behlaya Krta
Qsede Likhta Tere Husn Ka Apne Sharon Mai
Aur Apni Ghazlon Mai Tera Rop Sjaya Krta
Wo Raat Phir Se Mohabat Ka Pegham Le Aye
Mai Teri Khushbu Se Aangan Ko Mehkya Krta.
No comments:
Post a Comment